Na shikwa hai na ghuma hai
Mohabbat ki yeh kaisi intehaa hai
Jo lab khilke muskura na sakein
Jo aansu khul ke beh na sake
Unki yeh choti si daastaan hai
Band kamron ki siskiyaan
Darwaze ke pare sunn na sake
Woh toh itne bedard nikle
Ke zakhm dekh ke malham toh le aaye
Bas laga na sake
Par aaj bhi yahi kahengey
Na shikwa hai na ghuma hai
Zaalim teri mohabbat ki yeh kaisi intehaa hai
Hum palkon mein dard chupate rahe
Aur mehfilo mein thahake lagate rahe
Sajti shaamon mein aake woh dil humara yun cheer ke le gaye
Aur hum toh muskura ke yeh bhi na keh sake
‘aye zaalim zara palat ke dekh, mere dil ke kitne tukde bikhar gaye’
No comments:
Post a Comment