Bachpan bahut pyara hota hai, nahi
School mein last bench pe tiffin
Dopehar ki neend
Shaam ki lukka chuppi
Tinde ki sabzi banne pe muh banana
Phir daanth khaake wahi tinde khaana
Phir wapas yahi karna, rozana
Bachpan ki ek aur cheez badi pyari hoti hai
Sapne
Wohi sapne jo hip hip hurray aur school days ke saath dekhe
Wohi sapne jo mummy ke tv serials ne dikhaye
Thodi ladayi, thodi ruswayi
Dosto ka wahi roothna manana
Anjaan logon mein apno ko panna
Par phir wahi bachpan
Chupke se chalaki se
Haqiqat se rubaru karake kahin kho sa jaata hai
Waqt ke sahare chodh,
Zindagi ke chaurahe pe akela kar jaata hai
Dheere dheere sab hi chale jaate hain
Koi padhayi ke liye toh koi alag zindagi banane ke liye
Toh koi bas apne gham seene mein dabaye
Ujaad ban ke reh jaata hai
Jitne apne hote hain
Sab rang dikhane lagte hain
Ghadi ke kaantein jaise dheere dheere saare mukhote utaar dete hain
Aur kahin na kahin ek muntazır bas raah dekhta reh jaata hai
Kahin na kahin woh ek darwaza dhundta reh jaata hai
Bachpan ki masumiyat aur bharose ko
Har darwaze mein talaashta reh jaata hai
Kyuki, aakhir bachpan bahut pyara hota hai
Galti se reham ko nawazish samajh leta hai
Do pal pyaar ka meetha bol bolne wale ko
Apna smajh baithta hai
Yeh wahi muntazir hai jo har choti cheez mein
Kahin khoyi huyi muskaan dhundne lagta hai
Kyuki yeh wahi hai, jo dhoke khake baitha hai
Bharosa jitna toota utna aur karne baitha hai
Thokre khaayi hain bahut par kahin ka kahin
Anjaano mein rishta banane baitha hai
Umeed toh inki masha allah hai
Kyuki koi inke khule zakhmo ko qured bhi de
Toh unhi ki tarafdaari bhi karne lagta hai
Koi zubaan se teer chala de
Toh seena chalni karne ko taiyaar baitha hai
Yeh toh wahi bewakoof hai
Jo jaanta nahi, jo khudka nahi, uska koi nahi
Yeh wahi beghairat hai
Jisse char thokre maardo phir bhi
Dar pe muskurata baahein phelata aa jaata hai
Yeh wahi kamzarf hai jo samajh nah paata
Apna koi nahi hota
Woh kahaaniyaan kisse jisse seene se lagaye baitha hai
Woh likhe bhi kisi muntazır ne hi they
Dhund toh woh bhi apna bachpan hi raha tha
Kyuki aakhir bachpan dhoka hi sahi
Par bachpan hi toh sabse pyaara hota hai
No comments:
Post a Comment