Saturday, April 19, 2025

7 Stages Of Love

Nadaan dil ki daastan aaj sunaati hoon
Dil ki kitaab mein kuch panne dhakh ke, daba re rakhkhe they
Woh afsaane aaj sunati hoon
Chalo, aaj unhi panno ko tumhe khol ke dikhaati hoon

Ek ajnabee na jaane kab kaise

Apna bana gaya

Aisi kashish thi uski awaaz mein

Rahi na main apne hosh-aur-hawaaz mein


Aankhein mili, aur dil khoya

Uski baaton mein, yaadon mein

Yeh nadaan jaane kitni raatein na soya

Uski dilkashi ka kuch aisa asar hua

Dil, jigar mera iztiraar hua


Yoon khinchi chali ke ruk na paayi

Unki rokti aawaazon ko bhi sunn na paayi

Phir aisi aage badi ke peeche mud ke dekh na paayi


Ishq ki khumari kuch aisi chadhi

Main saath samandar paar chal padhi

Na raha koi shaq, na raha koi parda

Uns ke rango mein main aisi dhali

Loo ko barkha samajh main yoon hi khadi rahi

Ahsaas bhi na hua kab dhoop chubne lagi


Bhaagi main, daudi main, 

Aankhein moond chalti chali main

Rango se bhara tha yoon aashiyaana mera

Band darwaazon mein kahin kho gayi main

Par ek khla tha kahin

Uski sisakti cheekhein bhi sunn na paayi 

Main aisi aage badi ke peeche mud ke dekh na paayi


Jisna haseen utna qatil hota hai yeh

Har zakhm ki, har marz ki dawa hota hai yeh

Pehli barsaat ke baad mitti ki khushbhoo ki tarah

Zindagi zarf ka tassavoor banaata hai yeh

Yeh ishq hi toh hai

Zindagi ko mukammal, noorani banata hai yeh

Ismein chal, dikhawa nahi

Par beparda bhi nahi hai yeh

Yeh woh aandhi hai

Jo shuruwat mein lagti suhaani hai

Par kabhi kabhi, gharonde ujaadta hai yeh

Iski aandhi ki thar thar aisi huyi

Iss andhi ki thartharat main samajh na payi

Ibtida tha yeh ek toofan ka, main dekh na payi

Main aisi aage badh aayi ke peeche mud ke dekh na payi   


Ishq ki qata hoti itni gehri hai

Har gumaan ko, har shaq ko kahin dafna deti hai

Iske lehje mein woh nasha hai

Jo bas chadhta hi jaata hai

Par jab yeh nasha utarta hai

Dil - jigar cheer ke chala jaata hai


Ek aisa fariaibi bhi hai yeh

Yeh ek mukhauta pehen ke aata hai

Yeh woh shaitaan bhi hai

Jo bina kisi bandish ke bhi

Apne mein baandh ke le chalta hai 


Ek aisa farishta bhi hai yeh

Khudki mohabbat, akidat ka ahsaas bhi dila jaata hai

Par kambakht parkahna nahi sikhata 

Main shayad yeh kabhi jaan na payi

Aisi daldal mein phansi ke chah kar bhi, peeche mud ke dekh na paayi


Ghul ke beech kahin ek sukoon ki woh ghadi

Ek hamsheerah jo mera saath dene chal padi

Ek salahiyat jisse ghaant bandh chali main

Jaise daraf ka tanaah jadi se bandh jaata hai  

Khud ki ibaadat mujhse hi toh ibtida pata hai

Phir chal padi mein sher ki ghufa mein 

Jaane kya hi soch rahi thi main, na ruki, na hichkichayi

Chalti chali aise ke peeche mud ke dekh hi na paayi 


Ek sone ka pinjra, peetal nikla jiska sona

Ghair mulki zameen, 2 ghaz ka kona

Uss kone mein kahin shayad tha meri qismat ka rona

Uss kone mein chupi thi kahin ek chaabi

Mere pehredaaro ko na khabar zara bhi

Par kab tak chipti kat tak chipaati

Dastak dene aa chuki thi ab shayad kisiki tabahi

Asbab tha bas pinjra tod nikal padhne ka

Par manhoos waqt kahaan martaba karne walo mein tha

Junooniyat ne maano ek nayi sabah dekh li

Ehad mera jalal ban chuka tha

Afsano ke mazmoon aakhir kya hote hain

Bas yahi jaan-ne main chal padi, yahi gunah tha mera shayad

Phir aisi phansi ke pinjra todne ke auzaaro se hi chil gayi

Darr ka kalas ab yeh tha, ki royi, gidgidaayi, 

Par itni masroof thi main ki main ruk hi na paayi

Har umbre ke aage ek asbaah hai

Har shab ki ek subah hai

Beete lamho mein agar aansu hain toh shayad ek sabaq bhi 

Shayad ek naye kal ka sabab bhi

Uss sabaq ko ab seene se legaye chalti hoon

Khud se ek qurbat mehsoos karti hoon

Maut shayad bas ek justajoo hai

Zindagi ki sataish se karti rubaaro hai

Itni mohabbat mere aas paas hai, shayad yahi seekhna baaki tha

Ab isse yoon saath liye chalti hoon,

Naye khwaab, har roz bas yahi muraad karti hoon

Iqbal mandi ka ab woh baagh mila, ke chalti chali

Apne uchalte kadmo ko rok na paayi 

Inteha

Na shikwa hai na ghuma hai

Mohabbat ki yeh kaisi intehaa hai

Jo lab khilke muskura na sakein

Jo aansu khul ke beh na sake

Unki yeh choti si daastaan hai


Band kamron ki siskiyaan

Darwaze ke pare sunn na sake

Woh toh itne bedard nikle

Ke zakhm dekh ke malham toh le aaye 

Bas laga na sake

Par aaj bhi yahi kahengey

Na shikwa hai na ghuma hai

Zaalim teri mohabbat ki yeh kaisi intehaa hai


Hum palkon mein dard chupate rahe 

Aur mehfilo mein thahake lagate rahe

Sajti shaamon mein aake woh dil humara yun cheer ke le gaye

Aur hum toh muskura ke yeh bhi na keh sake

‘aye zaalim zara palat ke dekh, mere dil ke kitne tukde bikhar gaye’