Trigger Warning:
Maa, aaj main bina darein ghar aana chahti hoon
Teri god mein sar rakh ke apna sapna batana chahti hoon
Aaj main raat ko ser pe jaana chahti hoon
Par chahe jo bhi ho
Maa, main jalna nahi chahti hoon!
Par ab mushkil lag raha hai yeh
Kinn darindo ke haathon phans gayi main Maa
Mujhe pata hai tu meri raah dekh rahi hai
Par kaise batau tujhe
Yaahaan meri aah nikal rahi hai
Maa, maine kisika kya bigada tha?
Main toh bas apne raste chal rahi thi
Kya mujhe sapne dekhna mana hai?
Kya mujhe jeene dena duniya ke liye saza hai?
Main toh inki beti ki umar ki hoon, Maa
Phir kyu mere saath yeh hua?
Maa, kyu khela inhone meri zindagi ke saath jua?
Maa, in cheel-kauwon se bacha le mujhe
Main bahut dar rahi hoon
Maa, main jalna nahi chahti hoon.
Maa, main tere liye lad rahi hoon
Is bistar pe leti aakhri sanse gin rahi hoon
Maa, ab main apne sapne dekhne jaa rahi hoon
Tu sukun rakhna maa,
Wahaan koi mujhe haath lagana toh door
Mujhe koi gandi nazar se bhi nahi dekhega
Tu apna dhyaan rakhna
Bhul na jaana jo mere saath hua
Maa, mera har pal saath degi teri dua
Ab bas main so jaana chahti hoon
Par chahe jo bhi ho
Maa, main jalna nahi chahti hoon
Yeh kya hua maa,
Kyu aag ki lapte lap-lapa rahi hain
Maa, in anjaan logo ki awaazein mujhe daraa rahi hain
Maa, teri cheekhein sunai de rahi hai
Maa, tu rona nahi
Main yahin hoon tere paas
Koshish kar, hoga tujhe ahsaas
Maa, meri ladayi lambi hai
Meri awaaz chup karayi hai
Par aaj bahuton ki neend udayi hai
Aaj sab meri ladayi ladne aaye hain
Maa, tu chinta na kar,
Yeh ladayi hum sab jeetengey
Bas tu himmat rakh
Ab main bas baith ke insaaf ka intezaar rahi hoon
Bahut thak gayi hoon Maa,
Ab bas, main thodi der sona chahti hoon.
No comments:
Post a Comment