Sunday, September 18, 2022

Akel Kya Hoti Hai

 

Akel kya hoti hai, jaante ho?

Akel woh nahi jo bandish mein mehsoosh hoti hai

Akel woh nahi jo aakhein namm kar jaati hai

Akel woh hai jo shama ke paas pahunchke bhi parwane ko jala deti hai


Jab tulu-e-aftab ki roshni dikhti jaroor hai 

Par ghurub ka ehsaas dilati hai

Jab aankhein khulti jarur hai

Par phir band hone ki raah dekhti hain

Jo manzil toh dikhati hai

Par raaste jala deti hai

Akel woh seher hai 

Jo shabh banke aati hai


Jo muskaan toh dikhati hai

Par siskiyaan daba jaati hai

Jo kisika kaandha toh ban jaati hai

Par khud ka bhaar sambhal nahi paati hai

Akel woh zeher hai

Jo aab-e-hayaat banke aati hai 


Yeh woh lughat hai 

Jiska koi ustad na bane, yahi behtar hai

Yeh woh jallad hai

Jo tasdeeq karne ke bahane aake jaan nikal leta hai 

Yeh hilal banke aata hai 

Roshni ka tassavur dikha ke

Zinda dafna jaata hai

Yeh akel hi hai 

Jo apni siskiyon ka shor khud hi sunn nahi paata hai


Yeh aisa naqaab pehnaata hai

Jo sabki raqas banake chalata hai 

Koi maanega nahi

Ishq nahi, yahi woh sinf-e-sukhaan hai 

Jo har shayar ko shayar banata hai
Janaab, yeh akel hi toh hai

Jo jeete-ji, jism se rooh alag kar jaata hai