Saturday, October 30, 2021

Bekhabar Aur Barbaad


Bekhabar tum betaab main

Tumhare ishq mein barbaad main


Tumse ladh bhi li, jhagad bhi li

Wajah bewajah ulajh bhi li

Sab kuch bol diya

Bas woh na boli jo tha dil mein dafna liya

Bas, choti choti baaton se dilko bhi behla liya

Apne haal ko dekh ab sochti hoon bas

Kab tak rahoge bekhabar tum aur betaab main

Aur tumhare ishq mein barbaad main


Har lamhe mein tumhari khairiyat maangi

Har tarah tumhari khushi hi chahi

Kai baar toh chup chup tumhare liye duaaein bhi maangi

Maangi to apni rehaayi bhi

Bas jo na maangi, mili woh judaai bhi

Aaj bas kalam ke sahaare do bol nikal jaate hain

Inn panno pe dil ke raaz khul jaate hain

Ek anjaan awaaz mein chain paa jaate hain

Tumhe kya hi batayein

Kitne bekhabar ho tum aur betaab main

Aur tumhare ishq mein hoon barbaad main


Khaamoshiyon mein khwaab sajaye

Bandh aankhon se dekh dekh

Apne dil ko bas aise hi manaaye

Sabke thahako ka mauzu bhi bani hoon

Tumhari chidhan ka nishaana bhi rahi hoon

Phir tumhare saath hi mehfooz rahi hoon

Tumhara haath apne haathon mein lene ko tadpi hoon

Aaj bhi uss ummeed mein baithti hoon

Kabhi yaa toh tumhe dil khol ke dikha doon

Ya waqt ke saath tumhaari yaadein mita doon

Tab tak ho bekhabar tum aur betaab main

Tumhare ishq mein bas yu hi barbaad main


Humare khel, kilakaariyaan, ladaaiyaan saari yaad hain

Tumse ruswa hone wali saari ghadiyaan aaj bhi yaad hai

Jis raaste ko na palat ke dekhne ki kasam khaayi thi

Uss raaste par hi socha tha, ke shayad aage badh aayi thi

Par aaj bhi tumhara mere liye rakhkha hua woh ka scorecard yaad aata hai

Bas tumse baat karne ki himmat

Yeh dil nahi juta paata hai

Isliye aaj tak ho bekhabar tum aur betaab main

Aur tumhare ishq mein ho rahi hoon barbaad main


Tum Majnu nahi phir bhi tumhari Laila bane baithi hoon

Tum Farhaad nahi par tumhari shirin bane baithi hoon

Chahke bhi tumse chidh nahi paati

Tumhari jagah, woh mohabbat kisi ko de nahi paati

Jaane aisi kaunsi deewangi sar pe chadh gayi

Itne saal beeth gaye

Par main aaj bhi wahi khadi reh gayi

Kaise batau, ho kitne bekhabar tum aur betaab main

Tumhare ishq mein ho gayi kitni barbaad main 

Thursday, October 21, 2021

Yeh Raat


Kabhi khil khila ke hasati

Toh kabhi rula jaati hai

Yeh raat bhi gazab julm dhaati hai


Itihaas ke panno mein saans phunk jaati hai

Seene mein dafn raazo ko khod khod ke nikaal laati hai

Sannaton mein siskiyon ko bhi aawaaz de deti hai

Yeh raat kitni ajeeb hai

Bas julm dhaa te jaati hai


Saare mukhoton ko kahin chhum se chupa jaati hai

Jaahan palto wahi tumhe ek aaina dikha jaati hai

Tum tairte reh jaaoge par tumse kinaara chhinte jaati hai

Yeh raat apne aanchal mein toofan leke aati hai

Badi jaalim hai yeh raat, sirf julm dhaane aati hai


Aankhon se neend chura jarur leti hai

Bas khaufnaak sapne yaad dila jaati hai

Ek sone ka pinjra banake

Tumhe uski chaabi se lalchaati hai

Ek toofan ki tarah aake

Yeh raat, bas julm dhaa jaati hai


Khudse sach bolne pe majboor kar jaati hai

Karwatein badalte raho

Par neend ko kareeb nahi aane deti hai

Har yaad, har zakhm, har baat ko taza kar jaati hai

Yeh sab kuch karne ke baad bhi

Ek sawaal zehen mein chodh jaati hai

Aakhir kyu? - isse tumhari soch mein durust kar jaati hai

Badi toofani hai yeh raat

Bas tumhara sukun churane aati hai


Pal bhar ke liye hasa ke,

Khoob rula jaati hai

Yeh raat bhi gazab hai, bas zulm dhaane aati hai