Saturday, September 19, 2020

Maa Baba



Aaj door hoon, akeli hoon, halaaton se majboor hoon
Maayus hoon, roti hoon,

Maa-baba tumhare paas aane ko tarasti hoon


Ek sheher mein hoon,

Phir bhi dooriyaan mehsoos karti hoon

Baba ki subah ki chai 

Aur maa ki rotiyaan yaad karti hoon

Maa-baba tumhare paas aane ko tarasti hoon


Roz video call pe tumhe dekhti hoon

Haste huye dard chupa jaati hoon

Jab nahi hansa jaata

Toh kharab network ka bahaana bana deti hoon

Kaise batau 

Maa-baba, main tumhare paas aane ko tarasti hoon


Covid ki manhoosiyat ko kosti hoon

Aa sakti hoon wahaan 

Par tumhe risk pe laane se darti hoon

Kaise bataun kitni akeli hoon

Maayus hoon

Maa-baba, main tumhare paas aane ko tarasti hoon


Baba, tumhari harmonica ki dhun sunne ka mann kar raha hai

Maa, tumhari god mein sar rakh ke sone ka mann kar raha hai

Bhindi, rajma, ya chicken, kya banega,  yeh behes karne ka mann kar raha hai

Aaj jab tum dono se puch puch khaana banati hoon

Labon tak laake baat badalti hoon,

Ab bas bol dena chahti hoon,

Maa-baba, main tumhare paas aane ko tarasti hoon


Dua maangti hoon yeh waqt bhi guzar jaye jald hi

Daud k tumhare paas aungi main

Phir wahi tumhari pyaar bhari daant khaungi main

Baba ki adrak wali chai aur biscuit k sang
Maa, tumhari ki khinchai karengey hum

Khuda na khaasta kabhi saat k liye na tarsengey hum


Aaj uss din ki bas ummeed lagaye baithi hoon

Kyuki

Maa-baba, main bas tumhare paas aane ko tarasti hoon!

Saturday, September 12, 2020

Purana Khat

 

Har roz kuch baatein sunti aur kuch sunati hu

Kuch mann hi mann hi sochke 

Bada muskuraati hu

Haste hasate din guzarein hain maine

Aaj ek raaz ki baat batati hu

Kyuki aaj ki baat thodi alag hai yaaro

Chalo

Aaj ek purana khat padh ke sunati hu


Andhero mein roshni talashti hu

Bheed mein khadi khush badi ho jaati hu

Aakhir in sab mein se ek hu main, 

Khush hu

Khudko kabhi akela nahi paati hu

Baarish mein adrak wali chai ki chuski ki tarah

Ek mazze ki baat baatati hu

Chalo

Aaj ek purana khat padh ke sunati hu


School college bunk karke 

Teacher ki daanth khaa chuki hu

Phir reunion pe unhi teachers ke gale lag ke aaj roti hu

Doston ko WhatsApp, FaceTime bhale hi nah karu

Par tapri ke chai-sutte aaj bhi yaad karti hu

Aaj waqt k pahiye ko thoda peeche ghumati hu

Chalo

Aaj ek purana khat padh ke sunati hu


Sutta - Sharab - Ganja sab apni jagah hai

Par raat ke 4 baje ki cycle wali bhurji ki toh waah waah hai

Aaj yaaro ke bina woh bhi bas bewajah hai

Bas beetein huye pal yaaad kar

Ab mann hi mann muskuraati hu

Chalo

Aaj ek purana khat padh ke sunati hu!

Numaish


Kayi baar dil lalchaya bhale
Par kabhi farmaish nah ki

Tujhse ab shikwa kya karein
Jab kabhi humne hi mohabbat ki numaish na ki


Muskurate huye takleef huyi bahut
Par kabhi kuch batane ki aziyat nah ki
Duniya ko zaalim kyu kahein

Jab humne hi kabhi reham ki guzarish nah ki

Tujhse ab shikwa kya karein
Jab kabhi humne hi mohabbat ki numaish na ki


Mazloom banke hamdardi milti zaroor

Par iss dard ko hauwa banane ki jurrat nah ki

Dil roya bahut huzoor

Par kabhi dil ka haal batane ki koshish hi nah ki

Kya karein, khuddhar hain bahut

Kabhi kisiki meherbaani ki khwahish nah ki

Tujhse ab shikwa kya karein
Jab kabhi humne hi mohabbat ki numaish na ki


Shafqat ki ummeed lagaye baithe they hum
Par kabhi teri fıtrat jaanne ki himmat nah ki

Ranjishein rakh ke ab kya milega humein

Galti humari thi

Jo humne kabhi teri wafadari ki azmaaish nah ki

Tujhse ab shikwa kya karein
Kyuki humne hi apni mohabbat ki numaish na ki!